Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Imam Muhammad Baqir

Razi allahtala Anhu

 

Aap ki wiladat ba saadat ba roz jummay yakam Rajab 57 Hijri ko hui aap Hazrat Imam Ali Zainul Abideen Razi AllahTala Anhu ke farzand hain. aap ka naam apne jadd e bazurgwar  Rasool e Khuda Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ke naam par Mohammad tha aur Baqar laqab. Isi wajah se Imam Mohammad Baqar Razi AllahTala Anhu ke naam se mashhoor hue. Yeh aap hi ko khasusiyat hai ke aap ka silsila nasb maa aur baap dono taraf  se Rasool e Khuda Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam taq pohanchana hai. Dada aap ke Hazrat Imam Hussain Razi AllahTala Anhu they jo Hazrat Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ke chhootay nawase they aur walida aap ki Umm Abdul Allah Fatima Razi AllahTala Anhu Hazrat Imam Hasan Razi AllahTala Anhu ki Sahebzadi theen jo Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam  ke barray nawase they

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Teen baras Imam Mohammad Baqar Razi AllahTala Anhu apne jadd e bazurgwar Hazrat Imam Hussain Razi AllahTala Anhu ke zair e saya rahay. Jab aap ka sun  poooray teen saal ka howa to Imam Hussain Razi AllahTala Anhu ne Madinah se safar kya. Is kam suni mein Imam Mohammad Baqar Razi AllahTala Anhu bhi rastay ki takleifein sehney mein apane buzurgon ke shareek rahay.

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Imam Hussain Razi AllahTala Anhu ne Mecca mein panah li. Phir Koofa ka safar inkhtiyaar kya aur phir Karbala puhanche. Satwen Muhram se jab pani band ho gaya to yaqeenan Imam Mohammad Baqar Razi AllahTala Anhu ne bhi teen yom pyaas ki takleef  bardasht ki .Hazrat Imam Mohammad Baqar Razi AllahTala Anhu bhar poor jawani ki manzlon ko tey karte hue aik sath jismani o ruhani kamaal ke buland nuqta par they. Jab aap ke waalid bazurgwar Hazrat imamzainul Abideen Razi AllahTala Anhu ki shahadat hui tu apane waqt e wafaat aik sandooq jis mein ehley beet Razi AllahTala Anhu ke makhsoos aloom ki kitaaben theen Imam Mohammad Baqar Razi AllahTala Anhu ke supurd kya neez apni tamam ulaad ko jamah karkay un sab ki kifalat ki zimma daari apne Farzand Imam Mohammad Baqar ke supurd kee .

Imam Mohammad Baqar  Razi AllahTala Anhu ke zamana mein jab mulki halaat ahal beeet ke haq mein behtar hue to aloom Ahle Baet Razi AllahTala Anhu ka darya poori taaqat ke sath umanda aur hazaron pyason ko sairaab karta howa, Shariat e huqqa aur ehkaam e Elahi ke khaiton ko sirsabz binata howa duniya mein phail gaya. Is Ilmi aur wusat maloomat ke muzahiray ke nateejay mein aap ka laqab Baqar Razi AllahTala Anhu mashhoor howa. Is lafz ke maienay hain androoni baton ka mazahrah karne wala chunkay aap ne bohat se posheeda matalb ko zahir kya is liye tamam musalman aap ko Baqar Razi AllahTala Anhu ke naam se yaad karne lagey. Aap se aloom e Ahe Baet Razi AllahTala Anhu haasil karne walon ki tadaad senkron taq pohanchi hui thi. Zahri Imam Uzai aur Attar bin Jari , Qaazi Hifz bin Ghayas waghera yeh sab Imam Mohammad Baqar Razi AllahTala Anhu ke shagrdon mein se hain .

Aap ke ikhlaq woh they ke dushman bhi qaail they chunancha 1 shakhs ahal Shaam mein se Madinah mein qiyam rakhta tha aur aksar Imam Mohammad Baqar Razi AllahTala Anhu ke paas aa kar betha karta tha. is ka bayan tha ke mujhe is gharane se hargiz koi khuloos o mohabbat nahi magar aap ke ikhlaq ki kashish aur fasahat woh hai jis ki wajah se mein aap ke paas anay aur bhaithne par majaboor hoon

Is zamane mein Hakomt e Islam ki taraf se is waqt taq koi khaas sikka nahi binaya gaya tha, balkay Romi saltanat ke sakay islami saltanat mein bhi raaij they. Waleed bin Abdul Mulik ke zamana mein saltanat  e Shaam aur Sultan e Room ke darmain ikhtilafat peda ho gya. Roomi saltanat ne yeh iradah zahir kya ke woh apne sakun par paighambar e islam ki shaan ke khilaaf  kuch alfaaz darj kara day gi is par musalmanoon mein barri be cheeni peda ho gyi. Waleed ne aik bohat bara jalsa mushawarat ke liye munaqqid kya jis mein aalam e islam ke mumtaz afraad shareek they. Is jalsa mein Imam Mohammad Baqar Razi AllahTala Anhu bhi shareek hue aur aap ne yeh raye di ke musalman ko khud apna sikka dhalna chahiye jis mein aik taraf  لاالٰہ الااللّٰہ aur doosri taraf   محمد رسول اللّٰہ   naqsh ho. Imam Razi AllahTala Anhu ki is tajweez ke samnay sar e tasleem khham kya gaya aur islami sikka is tor par tayyar kya gaya .

Aap114 Hijri ko is daar e faani se rukhsat hue. Aap ko hasb e wasiyat teen kapron ka kafan diya gaya jin mein se aik woh yamni chadar thi jisay ourh kar aap baroz e jummay namaz parhte they aur aik woh pairahan tha jisay aap hamesha pehnay rehtay they. Aap ko Jannat al Baqi mein isi Quba mein jahan Hazrat Imam Hasan Razi AllahTala Anhu aur Imam Zain al Abideen Razi AllahTala Anhu mahv istrahat  hain supurd e khaak kya gaya .